Earn Money !!Write Blogs or Earn through Referrals Read More
Business Pakistani real Kahani Politics Prices / Qeemat

DEBT INCREASED AS MEDICINE

  • June 7, 2022
  • 3 min read
  • 248 Views
DEBT INCREASED AS MEDICINE

QARZ BARHTA GAYA JUU JUU DAWA KI

Pakistan ko maujooda saal k aamda 4 maah mein Qarzo ki adaigi aur apni zaroriyat kay liye 10 Billion Dollars ka izafi Qarz required hai, Aur Coming Year kay doraan unhi points me 20 to 25 Billion Dollars required hongy. Qarz aur us par Interest ki adaaigi mehnat ki kamai se kardi jaye to goya qarz leny ki bina par Izzat o Waqar me kami ka azala ho, Lekin Pakistan aisy kam nahi karta. Yahan kay zimedaran is target ko haasil karny ky liye aik aur startegy bana chuky hain.

Guzishta 3 Saal me ham ne Analysis kar liya, Kay hamare best minds aur Qoumi Sarmayadar commission upar ki kamai aur blackmailing kay maahir hain. Unho ne kamal maharat se boht saare inamaat bhi liye hain, Aur kaam bhi naa hony kay barabar kiya. Aur Aj mulk Wahen Khara hai, jahan se chaly thy. Mehngai ka 1 tofaan hai jo thamny ka naam nahi leta, Lekin un ka Standard of Life aur Business Profit historically record tor rahy hain. Record torny ki bat jab nikli hai to logon ne socha kay Qarz leny ka Record bhi bana liya jaye. Jis waja se DEBT LIMITATION ACT manzoor kar liya gaya. Is kay Mutabik Government Of Pakistan Yearly Qoumi production ka 60% Qarz lay sakti hai aur 10% tak ki Riyaasti Zamanten jari kar sakti hai.

Aisa nahi hai kay hamare Leaders aur Officers ne is Tay Shuda hadd se kam Qarz liya hua tha aur ab is Act ki manzori kay baad mazeed Qarz liya jaye ga. Haqeeqat ye hai kay pehly se majood Qanoon kay mutabik Pakistan par salana production ka 60% Qarz hi charaya jaa sakta tha, Lekin Qanoon mein hamare Leaders kay pas Arbitrary options nahi thy. Ab wo Ikhtiyarat unhe de diye gaye hain, Jin k mutabik zarorat ka daira (circle) Qanoon mein diye gaye Possible way nahi hongy, balky hamare mehboob Leaders aur officers ki samjh bojh hogi, taa kay mulki muashi(Economical) mushkilaat ka shikaar na hony paye aur faisal foran ho jaye.

Ye aakhri jumla Tafnan me narrate nahi kiya gaya. Hamara masla dohra hai kay America ya Britain ky Qanoon ka chapa(copy) lagaty hue hamare ye great minds bhi nahi sochty kay wo Countries yuhi taraqqi nahi kar gaye. Wahan bane hue Qawaneen ka bagair objectives ko madd-e-nazar rakhy, Itlaaq Pakistani Powers kay paon ki beriyan ban jaye ga aur us Qanoon ko pehli dafa IMF (International Monetary Funds) hi mukammal parhy ga aur hamare faisla wahi phans jayen gy.

Haqeeqat ye hai kay is Qanoon k drafts kay sath ye b bataya gaya hai kay Pakistan par total Qarz dar-asal salana Production ka 72% hai aur Risyat Pakistan ne 6% kay lag-bhag zamanten bhi jari ki hui hain.

Goya Bhai log pehly se hi hadd paar kar chuke hain aur ab IMF wagera kay kehny par ye Qanoon Sazi ho rahi hai. Aur is dafa thora sa soch liya gaya hai aur Naye Qanoon me Future ki pesh bandi kar li gayi hai. Is kay sath hi Pakistan ki salana production ko 295 Billion Dollars se barha kar 345 Billion Dollars kar liya gaya hai aur Qoumi idaare State Owned Enterprises(SOEs) ko Khud-Mukhtar karny ka Qanoon bhi aya chahta hai. Kyu kay in idaaro ki zamanti Adaigiyan 5000 Billion Rupees se tajawuz kar chuki hain. Aisa nahi hai kay IMF is me shamil nahi hai. Itni Aqal IMF mein hi hai, kyu kay mazeed Qarz jo dena hai.

About Author

Hafiz Irfan Hussain

Writer

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *