Imran Khan Minutes away from Islamabad D-chowk Live

Imran Khan Minutes away from Islamabad D-chowk Live. Jab tak aam intikhabaat ka elaan nahi hoga tehreek jari rahay gi, mere sath awam ka samandar d chowk pahonch raha hai, chairman tehreek insaaf ka pegham. Mere sath awam ka samandar d chowk pahonch raha hai. ARY news ke mutabiq sabiq Wazeer e Azam Imran Khan ne kaha hai ke Islamabad aur Rawalpindi walay d chowk pounchanay ki poori koshish karen, mein daidh ghantay tak Islamabad pahonch jaun ga .
is imported Hakoomat ki janib se jabar aur Zulam ka koi bhi harba hamein dara sakta hai nah hi hamaray March ka rasta rokkk sakta hai.
Doosri janib Supreme Court ne tehreek insaaf ko Islamabad mein jalsa karne ki ijazat day di hai, Supreme Court of Pakistan ne PTI long March se mutaliq case ki samaat ki, Supreme Court nay PTI ko Islamabad mein jalsay ki ijazat day di, Adalat ne PTI ko H-9 aur G-9 ke darmiyan ground mein jalsa gaah faraham karne ka hukum diya. JUI ko jo ground faraham kya gaya wohi PTI ko bhi diya jaye, aisa plan diya jaye log pur aman jalsa gaah mein ayen aur wapas chalay jayen, yeh nah ho ke jalsay ke baad Faiz abad ya motorway band kar di jaye.
Isi terhan Supreme Court ne PTI ke karkunaan ko girftar karne se bhi rokkk diya. Adalat ne hukum diya ke jin siyasi workers aur wukla pr bary muqadmaat nahi hain, inhen fori raha kardiya jaye. Adalat ne tehreek insaaf aur hakoomati committee ko mazakraat ki hadaayat ki. Cheif Commissionaire Islamabad ke office mein mazakraat kiye jayen. Hukoomat aur PTI aaj raat Cheif Commissionaire office mein mulaqaat kere, IG Punjab , Deputy Commissionaire Attock committee ke sath taawun karaingay. Attorney general ne bataya ke Faisal Sabzwari , Agha Jaan, Asad Mahmood , Khalid Magsi aur ittihadi jamaaton ke wuzra mazakarati committee ka hissa hain.