INHERITED ECONOMY

LAWARIS MUESHAT
PTI (Pakistan Tehreek e Insaf) aur uski mukhalif partiyon kay darmeyan kiya ikhtilaaf hai? Ye aik aisa sawal hai, jis kay jawab ki talaash ne hame aik ajeeb haqeeqat mein laa-khara kiya hai. Ab PTI ki Hakoomat khatam ho chuki hai aur usay Na-Ehl aur Nalaik ka khitaab diya jaa chuka hai. Yehi PTI thi jis ne pehly wali Hakoomaton ko currept aur Khandani hakoomaton ka khitaab diya tha. Yahan tak baat samajh ati hai, Lekin Qoumi Muashi Policy se upar diye gaye khatabat kis tarha mutabkat (mutuality) rakhty hain? Barhta hua Tijarti Khasara, uss par adaigiyon kaa adum tawazun (Imbalance), Mulk par har lamha barhty hue Qarz ka boojh, Muqami barhta hua Maliyati khasara, Rupee ki naa rukne wali Bay-Qadri(Disrespect), Idaron ki Na-Ehli, Record tor Mehngai aur is sab mein Powerful aur Sarmaya daaron kay makhsoos Tolay ki record tor taraqqiyan. Ye aik aisa manzar-nama hai kay har hakoomat kay jany par bayan kiya jata hai aur Nayi Hakoomat ko challenge kay tor par bataya jata hai.
Sri Lanka, Lebanon aur duniya kay deegar muashi tor par nakaam aur Rukay hue mumalik ki kahaniyan bhi hamari Parties ko is khel se baaz nahi rakhtin. Khadshaat kay izhaar par ye kaha jata hai kay Pakistan aik bara Mulk hai. Ye apni khuraak ki zaroriyat ka aik bara Hissa khud paida karta hai. Sab se Ehm ye kay Pakistan kay neighborhood China ho ya America wo aisy hain jo hame tanha nahi chorhy ga. Is liye Sri Lanka jaisi surat-e-haal ka mulk e Pakistan kay sath ho jaye ye Mumkin nahi hai. Aisa ho bhi to hamari har hakoomat ki sahulat maujood hoti hai, Jis par sab kuch daal kar Qoum ko sakht se sakht halaat ka saamna karny ki Khush-Khabri suna di jati hai.
Muslim League N, PP, JUI aur deegar ki mixed party Government ko dar-asal wahi challenges dar-pesh hain, Jo ye apni apni guzishta Hakoomaton mein PTI ki hakoomat ko Wirsay(Inheritance) mein day kar gaye thy. Un kay aane par bilkul usi tarha Dollar ko giraya gaya hai aur Stock Market ko uthaya gaya hai, Jise PTI ki Hakoomat kay aane par kiya gaya tha. Is silsilay me pehly Masnui talab (Artificial demand) kay zariye dollar charaya gaya aur phir State Bank ki help se commercial Banks ne mil kar almost 400 Billion Dollars ki Rasd (Logistics) kay zariye usi dollar ko wapis 181 par lay aye. Aur pehly ki tarha yehi reason denay ki koshish ki gayi kay karobar (Business) ka aetmaad barh raha hai, Lekin is kam mein Qoum ka 4 Billion dollars zaya hogaya. Isi doraan State Bank ne Interest Ratio me 2.5% izafa kar dya, Taa kay HOT DOLLAR ko poori dunia se welcome kaha jaye aur Pakistan me girtay hue Economy kay zakhayer (Reserves) ko sahara milay. Ye to wohi strategy hai jo PTI ki Hakoomat ne apnai thi. Muashi Policy aur uskay Pakistaniyon par asraat kay maidaan me in badalty chehron (Changing Faces) kay darmiyan kiya farq hai? Is ka faisla karna kafi mushkil kam hai. Maujooda Hakoomat jo naya kar sakti hai wo India se Tijarat kaa Aghaaz hai, taa kay Mehngai ko Lagaam dali jaa sakay. Warna dossri surat me Pakistan ki salaamti hamari Power me hakoomat ki Tabah Kun Muashi Policies ki nazar ho, No Offence? Haan! aur India is wakt hamare is kam me help kare, Ye ho nahi sakta.