Earn Money !!Write Blogs or Earn through Referrals Read More
News / Khabar Politics Prices / Qeemat Uncategorized

THE PRICE OF ECONOMIC FREEDOM

  • June 2, 2022
  • 4 min read
  • 242 Views
THE PRICE OF ECONOMIC FREEDOM

RUSSIA aur UKRAIN jung ne deegar mumalik ki terhan Pakistan ko jung ki waja se peda honay walay muashi challenges ke Bhanwwar(whirlpool) pe laa khara kya hai. Is environment mein Prime Minister Pakistan Imran Khan ka Russia pohanchna aur andronِ mulk adam atmad ki tehreek ke peshِ nazar hukoomat ki janib se aik aur amnesty scheme ka start, mehengai relief package, jis ke tehat Oil, Gas aur Electricity ki qeematon me kami ka elaan kiya gaya, jab ke economics par IMF(International Monetary Fund) ki gehri chhap(control) ho, ye bat muamlay ko boht hadd tak paicheeda bana deta hai. Yahan sawal yeh peda hota hai ke is Global conflict mein Russia ki janib qadam aur andronِ mulk is Political Tension ke Economic Implications aakhir kya hon ge? aur bah qoul shkhse : kya azadi ki taraf yeh hamara faisla kin qadam hai? hamari ghulami ki jarrain kaafi gehri aur mazboot hain.

Yehi wajah hai ke jab hamaray aaqa ko hamari zarorat pari to hamari ishrafia aur ba asar siyasi khanwade foran mutharrak hogaye hain. aisay mein hamein yeh jaiza lena chahiye ke aaya inn elanaat ki koi bunyadain hain? ya yeh kisi waqti challenge se muqaabla karne ki aik hikmat e amli hai? yeh jo bhi hai, lekin tajurbah aur qrayn yeh bta te hain ke is ki qeemat bhi har dafaa ki terhan qoum ko chkani parre gi. is baat ka ghalib imkaan hai ke nah hamein azadi miley aur nah hi is mehengai se relief.

Rahi baat Amnesty scheme ki’ to aisi scheme har hukoomat –apne aakhri dinon mein zaroor lati hain, jo corrupt logo ki sahoolat kar hoti hain aur is ka aam(common men) Pakistani ki zindagi par khaas assar nahi hota.

is jung ki wajah se tail ki demand mein 6 arab dollar ka izafa ho sakta hai. Doosri janib relief package ki wajah se tail ki muqami khapat mein izafah is surat_e_ haal ko mazeed kharab kar sakta hai. Isi terha mulki ghizai (food) zaroriat ko poora karne ke liye Required bill mein 40 crore dollar ka izafa ho sakta hai. Is ke elawa relief package ki wajah se khazanay ko 350 arab rupay(PKR) ka kharch bardasht karna hoga, jisay taraqiyati budget kam kar kay aur muqami Banks se mazeed karz le kar poora kiya jaye ga. Yun hi 6 se 7 arab dollar ka izafi (extra) required bill dar-asal pehly se mojood zarorat mein izafi hon ge. Mulki baraamdaat (Demands) ka 60% maghribi mumalik (West Countries) aur un ke itehadiyon ko jata hai. Isi terhan un mumalik se sending & receiving ka 30% wasol hota hai. Yeh dono periods mil kar Yearly 27 arab dollar banti hain. Is jungi surat_e_ haal aur Pakistan ki kharja policy (Foreign Policy) ke tanazur mein aisi wasolion mein mamooli tabdeeli bhi Pakistan ki maeeshat (Economical Position) ke liye tabah kun saabit hosakti hai aur IMF(International Monetary Fund) se kiye gaye wadon(Promises) ki dobara se khilaaf warzi ki saza ke tor par aur FATF k shikanjay mein mazeed shiddat ki soorat me hamara jari khaaton (calculations) ka khasara 17 se 20 arab dollar tak pahonch sakta hai, jo Pakistani rupay ko giraye ga aur mumkin hai ke yeh 200 rupay/$ tak pahonch jaye, jo mehengai ki aik nai lehar laaye ga aur usay qaboo mein laane ke liye azad markazi Bank sharah sood(Profit Percentage) mein izafah kere ga, jo budget ke khasaray mein mazeed izafah kere ga. Usay poora karne ke liye hukoomat mazeed tax lagaye gi aur mehengai phir se tamam pichle record tor daaley gi. Goya woh qoum(Nation) jo guzishta saal bemari ki qeemat ada karti rahi hai, ab azadi ki qeemat ada kere gi .


About Author

Hafiz Irfan Hussain

Writer

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *