THE TACTICS OF CAPITALISM IN THE DEMOCRATIC SPECTACLE

JAMHOORI TAMASHE ME SARMAYADARI NIZAAM K HARBAYY
Guzashta mah (Recent month) mulki Political surat_e_ haal mein’ ‘ tehreek adam aetmaad’ ‘ top trend rahi hai, jis ke hamaray Media par har char-soo charchay rahay hain. Is par Politics aur Media se wabasta shaksiaat (Personalities) RIVER OF WISDOM ko Propagate karti rahi, is se qoum (Nation) aik ajeeb 0 gahreeb zehni (mentally) dilemma se do-char hai. Guzishta 2 months se tehreek adam aetmaad ka drum (Dhol) liye oppostion jamaaton ne poora Pakistan sir par utha rakha hai. March ka poora maheena to qoum saaray kaam chor chaar kay is oont (Camel) par nazrain jamaye baithi rahi ke yeh kis karvat baithta hai. Media aur sahaafat ki bhi chandi (Increasing there TRP’s) ke unhein koi aisa kaam mila, jis se un ke talk shows ki Ronaq lout ayi. Tehreek adam aetmaad ka oont (Camel) jis karvat bhi baithy, balkay jis waqt yeh tehreer (Blog) aap parh rahay hon ge, is waqt tak yeh oont zaroor kisi na kisi karvat baith chuka hoga, magar is se is Nizaam (System) ke oont ki koi bhi Kal seedhi honay wali nahi hai, jaisay ke urdu ka mohawra hai :’ ‘ Oont ray oont teri kon si Kal seedhi’ ‘ .
Aisay hi is nizaam (System) ke koi bhi purze (aspects) seedhay nahi hain. Yeh nizaam (System) apni fikar aur dhanchay (Infrastructure) mein aik Mystery me mystery (Nested Mystery) hai, jo common awam ko sadiiyon se khoob soorat claims aur slogan se loot raha hai. Aisy timeless discussion ke mahol mein jahan aqal o shaoor ki baat karna mushkil zaroor hai, lekin hum apne un nojawanon (Youth) se mayoos (Disappoint) nahi, balkay pur-umeed (Confident) hain jo is khel mein na-samjhi se kisi na kisi pitch par poore khuloos ke sath is umeed se Stand up hain ke shayad yeh qoum (Nation) ki body clip ka aakhri aur sunehri (Golden) mauqa hai. Un ke samnay is nizaam (System) ke haqeeqi (Reality) chehray ko samajhney ki gharz se chand Requests submitted hain :
SHAYAD K TERE DIL MEIN UTAR JAYE MERI BAAT
Mulk ki mojooda siyasi (Political) surat_e_ haal ne koi pehli baar aisi karvat nahi li. Aisi surat_e_ haal maazi (Past) me boht baar aa chuki hai, jab apne daur ke media ko yeh khabar Jamani pari ke baaz ‘ ittihadi hakoomati ghonsla chore kar oppostion ke pairr ki shaakhon par jaa baithy hain aur baqi bhi parwaaz bharnay ko tayyar hain’. Is mein kuch bhi naya nahi lagta.
Yeh wohi kirdaar hain, jo Changa Manga (Forest) aur Murree ki tareekh ko dohra rahay hain. Jis mein kahin paisay ki chamak dikhayi dy rahi hai to kahin naye Election mein Party Ticket ka lalach diya ja raha hai. Sarmaya daari Nizaam (Capitalism) ke jamhoori (Democracy) tamashay mein aisi kamzor hakoomaten qaim karna, jo itihadiyon ke reham o karam par hon, is Nizaam ka apna harba hai. Woh apne Election ke Nizaam mein azadana hesiyat mein Election larnay ka juwaz faraham kar kay Few Indepedent Candidates ki shakal mein Trump Cards apne haath mein rakhta hai, taakay waqt e zaroorat jahan jamhoori natak (Democratic Drama) ke zariye qaim hukoomat (Elected Government) ko is ki hesiyat yaad dilae jasakay, wahein oppostion mein baithi jamaaton ki Iqtidaar ke liye raal bhi tapkai (Greed Of Power) ja sakay. Warna saarhay 3.5 Years guzarny wali hukoomat jo khud apni Policies aur Naaqis karkardagi ke baais barri taizi se awam mein apna aetmaad kho rahi hai, usay Gira kar 1.5 Years mein kon si doodh shehad ki nehrein bahai ja sakti hain aur woh bhi un oppostion jamaaton ke zariye, jo is sab kiye dharay ki zimma daar hain .
Yeh bhi is Nizaam ka aik Tareeka hai ke woh awam mein ghair maqbool hotay hue apne Mohroon (Seals) ko tehreekon ke zariye nai zindagi deta hai, jaisa kay mojooda surat-e-haal mein awam mein Unacceptable hoti hui hakoomati party is adam aetmaad ka shikaar honay ya bach niklny dono sooraton mein awam mein khoyi hui apni maqboliat ko dobarah haasil karne mein kamyaab hojaye gi. Behtar to tha ke woh apna dour hukoomat ( Tenure ) poora kar kay awam ke samnay jawab-da (Accountable) hoti aur is ke Claims aur Performance ke hawalay se doodh ka doodh aur pani ka pani hojata, magar yeh sab kuch is Nizaam aur is ki Muhafiz Quwatoon (The Protective Forces) ke waaray mein nahi aata (Not in their Favor).
In such a situation, to consider a new lamp of hope as a ray of light is tantamount to being deceived by a mere mirage. Partiyan apne apne Members ko active rakhnay ke liye khatabat (Speeches) ke naye record zaroor qaim karti hain, warna yeh Power Politics hoti hai, jo sirf nambaron par kheli ja rahi hoti hai. Is mein Nizaam ka kuch bhi badalny nahi ja raha hota (About Changing The System) aur nah hi kisi qisam ke aُsolon ki pasdari maqsood (Obedience To Principles) hoti hai, balkay siyasi partiyon ke Leadron ki haqeeqat un ki zabaan se jari bayanaat se tapak rahi hoti hai. Tehazeeb aur shaistagi se Miles away guftagu se is Nizam siyasat ke be naqaab chehray ko achi terhan se dekha ja sakta hai. National Parties ke leadron ka aik dosray par Tightening aur Tarnishing the Image is sangeen surat-e-haal ka munh boltaa saboot hai.
Jadeed jamhoori tarz hukoomat se pehlay (Modern Form of Government) Transfer of Power mein jungi salahiyaton ka amal dakhai ziyada hota tha. Aik taaqat jab pehli taaqat ki jagah layte thi to woh pehli hukoomat mein shareek afraad ke khoon se haath rangeen kiye baghair Iqtidaar (Throne of Power without Staining the hands with the Blood of the Participants) ke sunghasan par baithna khatray se khaali nahi samjhti thi, jab tak ke woh apne sab mukhalfin ko thikaane nah lagade. Vote ke zariye Peaceful tareeqay se hakoomaten badalny ke is tareeqay se faida uthanay ke bajaye sarmaya daari (Capitalism) Nizaam ne Members ki Sale/Purchase se number game ka aik aisa naya tareeqa Invent kiya hai, Jis mein nah sirf Jamhoriat (Democracy) ki rooh ghayal (Injurer) hoti hai, Balkay insaniyat ki Musalmah eqdaar ka janaza (Funeral of Muslim Values) bhi nikaal diya gaya hai. Vote ke zariye Peacful Transfer of Power ke baais jahan insani shaoor ne insani jaanun ko Bankcrupt honay se bachanay ka rasta banaya tha, wahein se sarmaye ke Addicted ne Emaan(Faith), zameer(Conscience) aur sadaqat(Authenticity) ko mout ke ghaat aُtarne ka bandobast kardiya hai, Jo insaniyat ka bohat bara nuqsaan hai. Yeh be reham sarmaya daarana Nizaam (Capitalism) ki insani zehen ki Positive taraqqi ko Negative Tactics faraham karne ki aik misaal hai .
Zaroorat is kam ki hai ke mulk mein Time To Time aisi tehrikon ke waqti ubaal mein Youth ko apni Abilities zaya karne se pehlay us ka Idea, Infrastructure aur Strategies par ghor-o-fikar karna chahiye. Is kay baad tabdeeli ki koi Solid raah li jaye.
(Editor)
2 Comments
Great Post Keep up the Good Work!!
real knowledge